Kuch is tarah maza lo Zindagi me part 3

  Part 3

  "Iam sorry ,mai apki wife ko nahi bacha payi.
Mere alfaaz shayad uski Zindagi me toofaan sa bharpa hua ,  mujhme itni saakat  nahi thi k us shaks ka saamna kar pati. Isliye mai uski nazraw se gayib ho gayi .
  Taqreeban adhe ghante baad wahi shaks mere cabin  me daakhil hua. "Dr mujhe apse zaruri baat karni he ".
  Mai uske gamzada chehre ko dekha phir use apne saamne wale kursi pe bhaitne ko kaha
     "Ji kahiye ".
 Samajh nahi ata apse kaise apni baat ka aagaz karu isliye ke mujhe apki help ki bahut zarurat he...
 "Ji meri"  Mai taajjub khair andaz se use dekhne lagi.
  Haan apki,   mujhe baby k kisi chiz ka andaza nahi he , kya dena he kya nahi ,diaper kaise change karna he ,bath kaise karte he mujhe kisi chizka knowledge nahi he. Samajh nahi ata k itni choti si bachi ko akele sanbhalunga kaise ..
      Q, apke ghar koi aisi aurat nahi he jo is bachi ka khayal rakh sake ?I mean koi to hoga na apki family me,apki mama,sister (Mai hairat se uske jawab ke muntazir ti).
   "Ji nahi, mere koi apne nahi he"  (todhi dair ke baad wo apni Zindagi ke talkh haqiqat ko bayan karne laga )
    Meri families me mai meri ammi abbu aur meri choti behan hua karte te ... car accident me unki death ho gayi . ...us wakt mai bahar apne higher studies ke liye gaya hua ta . Jaise hi mujhe unke accident ka pata chala mai sab kuch chod kar India aa gaya. Par afsos, k mere India pahunchne tak unki death ho chuki ti .  Teenaw ki mout ne meri Zindagi me toofaan sa bharpa kiya ta. Aisa lagta ta k inke saat saat meri Zindagi ka wajood bhi khatam ho gaya ,  magar Zindagi to nahi rukti,o to bas chalti jati he bilkul rail gaadi ki tarah jo ek manzil se dusri manzil ki taraf rawana hoti he.  Kaee mahinaw tak mai depression me raha.  ghar ke dekhbaal k liye papa ne ashraf baba ko rakha hua ta .mere papa bahut rehamdil insaan te, unse kisi insaan ka dukh dekha nahi jata ta. Shayad isliye unhaw ne ashraf baba ko apne ghar me panah de di jo o bakhubi anjaam de rahe te.  Ashraf baba ka ek beta ta jo shaadi shuda ta,  unke bete ne unhe ghar se nikaal dene ki waja se wo hamare saat hi reh rahe te . ... buzrug hone ki waja se ham unhe lihaaz ke tor pe baba hi keh kar pukaarte the. unke hosale aur sahare ne mai dheere dheere apni zindagi ki taraf lotne laga...
  Absence ki waja se business me bahut ghaata hua ta . Is liye mai ne papa ke business ko dubara se kamyab banane ke liye din raat mehannat kar ne laga. Aur chand hi roz me meri mehannat rang la bhi gayi , wo kehte he na agar kisi chiz ko paane ki lagan ho to khuda bhi uski jholi me daal deta he . ...
   Reeha (wife) se meri mulaqat apne dost ki shaadi me hue thi. Hansmukh  sa chehra ,  aajizana andaz, uske chehre pe masumiyat si jhalakti thi. Aur us ka yahi andaz mere dil ko lubhaya tha. ....
     (To be continued )
                                             __Saji___ 


Click here for part 4⬇

Comments

  1. super so beautiful story saj next story Kab Aaegi

    ReplyDelete
  2. Wowww...nice story, i like it very much🤗.. wtng for nxt prt😍

    ReplyDelete
  3. Wowww...nice story, i like it very much🤗.. wtng for nxt prt😍

    ReplyDelete

Post a Comment