Part 3
Din guzarte gaye hamari roz phone pe baat hone lagi. Mai khabi khabar neha ke ghar jaya karti. Timsaal jab neha ko college chodne ke liye ata to us samey salaam khairiyat puchti. Dil bhi ajeeb chiz he na, kis tarah Palak jhapakate hi apni kaifiyat badal deta he. Mujhe bhi usse utni hi muhabbat hone lagi jitna wo mujhe karta tha. Usne apni family me apni pasand bata di thi aur ye mere liye khushi ki baat thi. Uski family pehle hi se mujhe pasand karte ayi he aur isbaar Timsaal ne apne liye mera intikhaab kiya tha. Is waja se sari mil jhul kar khushyan celebrate kiya. Us din mera Delhi me last day tha jab sab saath mil kar apni khushyan celebrate kar rahe the.
" Dekho beta, hame tum pehle hi din se pasand thi. Ham khabi khabar sochte the ke mere pote timsaal ke liye tum se behattar ladki nahi mil sakti. Lekin ye faisla hamne Timsaal par chod diya tha. Par aj usne apni pasand ka izhaar kar ke hame zindagi ki sabse badi khushi de di."
Din guzarte gaye hamari roz phone pe baat hone lagi. Mai khabi khabar neha ke ghar jaya karti. Timsaal jab neha ko college chodne ke liye ata to us samey salaam khairiyat puchti. Dil bhi ajeeb chiz he na, kis tarah Palak jhapakate hi apni kaifiyat badal deta he. Mujhe bhi usse utni hi muhabbat hone lagi jitna wo mujhe karta tha. Usne apni family me apni pasand bata di thi aur ye mere liye khushi ki baat thi. Uski family pehle hi se mujhe pasand karte ayi he aur isbaar Timsaal ne apne liye mera intikhaab kiya tha. Is waja se sari mil jhul kar khushyan celebrate kiya. Us din mera Delhi me last day tha jab sab saath mil kar apni khushyan celebrate kar rahe the.
" Dekho beta, hame tum pehle hi din se pasand thi. Ham khabi khabar sochte the ke mere pote timsaal ke liye tum se behattar ladki nahi mil sakti. Lekin ye faisla hamne Timsaal par chod diya tha. Par aj usne apni pasand ka izhaar kar ke hame zindagi ki sabse badi khushi de di."
(Daadi ne bade chaaw se mere sar par haat phaira aur der saari duaayen di.)
"Oye bhabhi ji apko bhayya bula rahe he, upar balcony me"
(Neha ahista se kaan me sargoshi ki aur mujhe le kar upar chali gayi)
Bhayya g, le aye ham apki hone wali dulhanya ko...
(Neha ke awaz par wo piche mud gaya)
Ji thank you...... ab tum ja Sakti ho
(Usne niche ki taraf ishara kiya.)
Kya matlab mai ja sakti hu,,,,, mere samne baat karne me kya harj he..
(Neha jaanbhuj kar sata rahi thi)
Kya matlab hai tumhara, tumhare saamne mai kaise baat karu ga.
(Wo ankhaw ke ishare se use niche ki taraf jane ka keh raha tha)
Tum yahi to baat karoge na, noor plzzz mujhe bhool mat jana, roz phone karti rehna, mai tumhe bahut miss karunga wagaira wagaira....
(Wo use satane ke andaz me keh rahi thi, aur mai apne hansi ko hontaw me dabaye andar hi andar hans rahi thi.)
Kya badtamizi he neha, ab tum ja rahi ho ya dhakke de kar bhagau ....
(Wo dhakel hi raha tha neha uske haat apne khande par se nikaal diye)
Agar na gayi to?
To phir tumko mehanga padega
(Usne dhamki di)
Acha ggg, ab dhamkiya bhi dene lage ho,,, chalo tum kya yaad rakhoge.. chalti hoon mai...
(Wo muskurate hue chali gayi... mai khamush nazre jhukaye khadi thi..samajh nahi aa raha tha kahu to kya kahu. Usne khubsurat sa gift mere haat thama diya.)
Kya he ye?
(Hairangi ke saat maine usse pucha to wo muskura diya.)
Chota sa tohfa he, abhi nahi kholna. Jab tum apne ghar chali jaogi tab araam se khol kar dekh lena.
Ggg, thank you...
(Samajh nahi aa raha tha ke uske aage kya kahu, wo jab bhi samne aa jata mai hamesha aise hi nervous ho jati hu.)
Thank you ki koi zarurat nahi he.. ye to bas apni muhabbat ka chota sa tohfa he.
(Todhi dair baad wo phir se kehne laga)
Noor pata nahi q dil me ek khawf sa bharpa hua he. Jaisa ke tum mujhe hamesha ke liye chod kar ja rahi ho..
Aisa q lag raha he tume?
(Mai ne sarsare andaz me pucha)
Pata nahi q,, shayad tumhare door jane ka ehsaas kuch ziyada hi mehsoos ho raha he. mujhse to itna Lamba intizaar bhi nahi hoga.. mai tumhare jane ke fawran baad mama papa ko apke ghar bhej doonga.
( uski bataw se mere chehre par halki si muskurahat aa gayi aur meri nazre khud ba khud jhuk gayi. Magar dusre hi lamhe neha ki aawaz par mai chonk gayi)
Acha g, halwa puri samjha he kya jo mama papa ko fawran bhej doge.
(Wo timsaal ko chidaate hue boli)
Acha tum niche ja kar hamari baatein sun rahi thi.
G nahi, mujhe deewaraw ke kaan banne ka koi shoq nahi he.. wo to mai tumhe batane ayi thi ke
Dadi ham sabhi ko niche bula rahi he.
Jao tum, ham todhi dair baad ate he.
(Timsaal ne use haat ke ishare se kaha to wo munfi andaz me apne sar ko hilayi.)
Ji nahi,,,todhi dair baad nahi. Abhi isi wakt.
(Uske chehre par ubharti muskurahat ko dekh kar mai bhi apni hansi ko rok nahi payi.)
Yaar tum behan bano meri. Dushman kyun banti ja rahi ho.
Wahi to ban rahi hu. Dushman hoti to noor tume khabi nahi milti... shukar kar lo, meri waja se tume perfect lifepartner mil gayi. warna to khasaara hi khasaara tha...
(Neha ko lutf ane laga tha.. har wakt to timsaal hi tang kiya karta tha. Aj use bhi moqa mil gaya tha to wo bhala piche kyun hatti.)
Acha acha bas karo.....! Tum ladkiyaw ko bilawaja apni taarife karne ka shouq ho gaya he. Har koi apni taarif khud kar ke chala jata he.
Wo is liye ke tum mardaw ko taarife hazam nahi hoti..
(Timsaal ne apne sar ko jhatak liya aur niche chala gaya. Ham bhi uske piche hi niche chale aye.)
_______________•••••○○•••••______________
Likha tha,,
" Noor tum meri zindagi me wo Khushboo ki tarah ho jo har roz meri rooh me mehakti rehti ho. Ye Khushbu jab bhi tum lagaungi tume meri muhabbat ki yaad dilati rahe gi. Itna hi nahi phoolaw ke darmiyan bhi kuch aur bhi chupa hua he. Pehle wo dekhlo, baad me age padh lena".
(Mai khatth side me rakha aur phulaw ko tatolne lagi... kuch seconds baad ek khubsurat sa bracelet mere haat laga.)
Mai muskurayi aur use dekhne lagi. Khayal aya to wapas us khatth ko continue padhne lagi.
"Mujhe pata he ise dekh kar tumhare chehare par pyari si smile ayi hogi. Kaash mai us smile ko apne dil me qaid kar pata. Par koi baat nahi tum jald hi meri ban jaogi. Aur haan ise apne haat me pehan kar mujhe picture zarur send karna. Mai bhi to dekhu tumhare haataw par ye bracelet kitna jach raha he....
Tumhara TIMSAAL
Maine haataw me pehna aur use picture send kar diya..
_______●●●●________
Tume pata he Taniya tumhari mama ne wo sari kahani mujhe to suna di thi. Magar apne haq ke liye, apni khushi ke liye usne khabhi kadam nahi uthaya.. wo dil hi dil me apne dard ko paalti rahi magar ek uff tak nahi kiya. Aur rab bhi to dekho uski zindngi me aise aise imtihan laye jo shayad mai bayan bhi nahi kar sakti.
(Khaala ke ankhaw se ansu jaari ho gaye. Mai unki nam ankhaw ko pocha aur unse sawal karne lagi)
Khaala mama ne apne liye stand kyun nahi liya..
(Larazte labaw ke saath mai ne yahi sawal kiya.)
Kaise leti, ham log papa se itna darte the ke unke samne khabi khud khawaishat ka mutaliba tak nahi kiya. Aur ye to zindngi ka faisla tha. Bhala tumhare nana ke saamne hamari kya majal thi jo apni zuban se apni muhabbat ka iqrar karte.
"To kya Timsaal uncle ke ghar wale nahi aye the mama ka rishta mangne ke liye."
(Main ek ke baad ek sawaal karne lagi. Jiska jawab sunkar mai kaanp si jati thi.)
Timsaal ki walida aur waalid aye the. Magar jab unhaw ne Timsaal ke liye noor ka rishta manga to wo chilla uthe. Aur unhe be izzat kar ke khaali haat bhej diya. Tab se papa ko noor se nafrat hone lagi thi.. kyunki papa ye jaan gaye the ke unki beti wahan jaa kar ishq maashuqi me pad gayi thi.
"Magar khala isme to kisi ka dosh nahi hota. Muhabbat kisi se bhi kahi bhi ho sakti. AP chaahe kitna rokne ki koshish kar lo wo kahi na kahi hamare dil ki sar zameen me panah le hi leta he. Haan ye zaruri he ke us muhabbat ko nikaah ka naam de kar halaal bana liya jaye. Agar Timsaal uncle aisa kar rahe the to nana ka bhi farz tha wo apni aulad ki khushi me khush ho jate. "
(Mujhe nana par gussa ane laga tha..aur mai confused ho gayi thi ke kya parents aise bhi hote he.phir apne sar ko jhatka aur khala ki baate sunne lagi.)
" haan ye sahi baat kahi tumne. Magar aisa har kisi ki soch nahi hoti. Hamare papa shiru se hi itne sakht mizaaj the ke ham to kya mama bhi khabi unse koi baat share karne se darti thi. Ye baat sach he ke sakht rawaiyye insaan ko andar hi andar khokla kar dete he. Papa ke ek faisale ne noor ki zindagi tabah kar di.kaash papa noor ki khawaishat ka ehtiraam karte to mujhe aisa lagta ke noor agar is dunya se rukhsat bhi ho jati kam se kam itminan se hi chali jati. Magar papa to itne hatdharam te ke shaadi ke wakt bhi noor se baat nahi ki. Sirf isliye ke usne Delhi ja kar muhabbat jo ki thi."
"Agar aisa hi tha to unhe mama ko Delhi bhejne se pehle sochna chaiye tha. Aj agar nana zinda hote to mai unhe nahi chodti.. unka garebaan pakad kar puchti ke unhe ye sab kar ke kya mila."
(Nazo khala ki bataw se mera temperature kuch high ho gaya tha. Mai mama ki tarah darpok bilkul nahi thi. Jo zara si bataw pe rone lag jao ya dusraw se darr kar apne faisale badal diye jaye.)
Taniya aise nahi kehte beta. Ab to wo Allah ko pyare ho gaye. Allah se magfirat ki dua maangi chahiye.
(Hamesha ki tarah wo aise hi har baat par mujhe samjhati thi.)
Magfirat ki dua.... apko lagta he ke itna sab wo meri mama se karne ke baad mujhe unke liye magfirat ki dua mangni chahiye....?
(Me tanziya lehje me apne jumle ko dohrayi to wo mujhe aise hi takk kar dekhne lagi jaise maine koi gustakhi ki ho.)
Taniya itni badi ho gayi ho tum. Kitna samjhati hu tume, aisi baate nahi kiya karte..
Apni baataw me zaher ki jagah todhi mithaas bhar lo.. itna gussa insani sihat par nuksanda sabit ho sakta he.
(Unki baataw se mere chehre par muskurahat phail gayi aur mai unke godi me sar rakha)
Mithaas to meri pyari khala aur khalu ke liye hi he. Jo dunya ke sabse ache parents he.. khabi khabar lagta he mai bahut luckiest girl hu jo mujhe itne caring khala aur khalu mile. Jinhaw ne mujhe aj tak ma baap ki mehrumiyat ka ehsaas tak hone nahi diya.
Acha acha ziyada maska mat lagao..abhi tumhare khaalu ayenge.. mai kitchen me ja kar dekh lu.
(Wo uttne lagi to maine unka haat pakad liya.)
Apne puri kahani nahi batayi. Aise adhe adhuri kahani insaan ko tashwish me mubtila kar deta he.
Insaan ke andar sabar ka pemana hoga to use zindagi ki koi kahani tashwish me mubtila nahi kar Sakti. Phir khabhi fursat ke wakt bata dungi. Abhi itna jaan liya tumhare liye kafi he. Ab utho aur mere saat todhi help kar do. Isse ye faida hoga ke tume meri baataw ko sochne ka mauka nahi milge.
(Unhaw ne apne saath mujhe bhi kitchen me le gayi..)
__Continued to be____
__SAJI__
Part 4 👇
No words to describe your talent dear 💐💐💐😍😍just amazing.... Felt relaxed after reading it ....🥰🥰
ReplyDelete