Tere sang chale part 5(novel)

 Part 5




(Todhi dair araam karne ke baad wo niche khala ke room me chali ayi. Khala apne kapdaw ko tarteeb ke saath almari me rakh rahi thi. )

Tumhari need puri ho gayi. 
 
Ji khala...  waise pata nahi dil me ajeeb si kaifiyat paida ho rahi thi socha apke paas chali aaun..

(Usne utra hua chehra banaya to nazo dar si gayi.  Aur uske qareeb aa kar uske maathe ko haat lagaya)

"Tumhe kayi bukhaar to nahi he. Chalo Dr ke paas chalte he."

"Nahi khala,  meri tabiyat bilkul theek he."

" to phir tumhara chehra utra hua q he?"

 "Apne mama ke baare me adhi adhuri baat batadi.  Agar puri baat bata deti to dil mutmain sa ho jata."

 "Tani..... bahut sari hakikataw se mai bhi waakif nahi hu... ho sakta he tumhare adhure sawalaw ke jawab noor ki likhi hue dairy se mile.."

"Kya matlab, mama ki dairy?  Mama ne ye kab likha tha. "

(Unki baataw se mai chonk gayi. )

Haan, wo is dunya se Rukhsat hone se pehle mere haataw me tumhare saat saat dairy bhi sonp diya tha.. us dairy ko mai bhi na padh saki.  Q ke noor ne ye ijazat sirf tume de kar chali gayi. 

"To phir apne itne arse tak mujhse ye baat chupayi q?"

"Q ke noor ne mujhse kaha tha ke mai ye dairy tume is wakt du jab tum dulhan ban kar kisi aur ki zindngi me daakhil ho jaogi. "
 
(Mama ki is shart ne mujhe tashwish me mubtila kar diya)

  "Matlab is dairy ko padhne ke liye mujhe shaadi karni hogi.. par aisi shart unhaw ne q rakha." 

   "Ye to mujhe bhi nahi pata tani. Magar chodo is baat ko .. jab wo wakt ayega tumhari amanat tume sonp dungi. Tab tak apne andar sabar paida kar lo."

(Mai wahi sochaw me gum ho gayi)

Kya soch rahi ho.. afsurda nahi hote beta.  Unhaw ne ye shart shayad soch samajh kar rakhi hogi.. chalo utho,,, maine kofte banaye he... tum chak kar batana kaise bane he...

(Wo mere sar par pyar se haat phera aur mujhe apne saat zabaradasti kitchen ki taraf chali gayi)

 "Apne banaye he to zabardast hi bane honge"

(Mai chakne se pehle hi unki taarif ki)
 
"Acha to chak kar bata do."

(Wo mera dhiyan dusri taraf uljhane ki koshish kar rahi thi.  Itne me khaalu bhi daftar se ghar lote.)

"Arre aj ap to jald hi ghar chale aye."
(Nazeen hairat se puchne lagi)

"Haan, meeting jaldi khatam ho gayi.. todha jo kaam tha use jaldi nipta kar aa gaya. Socha ke family ke saath time spent kar lu."

 (Unhaw ne jacket ko utara aur sofe par araam se bhait gaye.)

  "Ye acha kiya ap ne. Tani bhi kafi bore ho rahi thi".

(Unhaw ne mere afsurde chehre ko dekha aur uth kadhe hue.)

  "Chalo to kayi bahar chalte he... aur tani ke liye derh sari shopping bhi karte hain. "

(Wo hamesha se isi tarah mujhe khush rakhne ki koshish karte.  Khabi khabar to mujhe khud par fakhar mehsoos hone lagta ke mai dunya ki sab se luckiest girl hu.)

Papa.... last month apne itni sari shopping ki thi.  Wo kaafi nahi he..

(Mai unhe khaalu kam papa ziyada kehti.  Q ke wo aksar kehte ke mai unhe papa hi keh kar pukaru.. unhe khushi mehsoos hoti he)

   "Wo to last month ki baat he.. tab se ab tak bahut sare naye design collection market me aa gaye honge.. tumhe jo pasand he wo le lena."

   "Acha,  to mujhe pizza khana he..... mama to ijazat nahi deti... is liye ap unhe mana le.."

   "Tani agar tumhara pizza khane ka dil chah raha tha toh mujhe kehti mai bana leti.  Bahar se healthy ghar ka khana hota he."
(Nazo jaldi se bol padi)

"Dekha ap ne. Jab bhi bahar khane ka naam lo khala tashwish me mubtila ho jati he."
(Mai bhi muskurate hue kehne lagi)

    "Chalo is baar mai tumhare saat hu.. kuch nahi kahegi khala apko...."

    "Chalo mai todha fresh ho kar ata hu.. tum bhi ready ho jao"

( wo kehte hue apne room me chale gaye.. mai bhi apni bag shoes lene ke liye upar chali gayi. )
        
         _______🍃🍃______

Dusre din university chali gayi... nazima aur saima class ke bahar mere muntazir te.  

   "Tani...... Tani...... "
(Mai khamushi se class ke andar chali gayi to wo bhi mere piche piche chale aye.)

  " yaar had he, ham tumhara itne time se wait kar rahe te, aur tum ham se bina baat kiye hi andar chali gayi."

(Nazima  jaldi se bol padi.... magar mai ne unhe koi jawab nahi diya to saima todha pareshan ho gayi..)

 Kya hua he tani.........?
(Saima pareshan kan andaz me puchi to maine use dilasa diya... )

Kuch nahi, bas todha headache  he...

(Us ne apni baat ko palatte hue kaha..magar saima samajh gayi thi ... college khatam hone ke baad anwar qareeb aya. To maine usse bhi excuse kar  liya. Magar usse door bhagna itna asaan nahi tha. Usse meri dosti saima ke badawlat hue thi. Wo saima ke door ka cousin tha. Magar ab wo saima se ziyada mera best friend ho gaya tha... jisse mai bila jhijak apni har baat share kiya karti thi.... wo MBBS kar raha tha.. jab classes khatam ho jate toh ham teenaw saat mil kar khub enjoy karte... hasan ke mom dad canada me shift hogaye hain. Magar anwar wahan jane se inkaar kar liya or tab se wo apni dadi ke saath yahi reh raha he....)

     Idhar aao Taniya...
(Wo mera haat pakad kar college ke dusre taraf le kar chale gaya.. wahan college ka hi garden tha jahan kuch students apne friends ke saath assignment ke tayari kar rahi... usne door ek bench par bhita liya....)
     


  "Tum mujhe yahan q le kar aye anwar ".
( mai confuse si ho gayi thi. Ye pehli dafa to nahi tha.  Magar is baar pata nahi q  maine uske ankhon me wahi dard dekha jo mujhe andar  hi andar taklif de rahe the..)

  "Tum janti ho ke mai tumhare chehre ko padh sakta hu... phir bhi mujse chupa rahi ho. Jab ke pehle tum mujhse apni har baat share kiya karti thi.."

(Wo sakht lehje me bola to mai seham si gayi.. phir usne narmi se pucha to maine use wo sab baate share ki jo khala ne mujhe batayi thi.)

   "Acha to tum ne kya faisala kiya"

( usne bagour meri bataw ko suna aur kuch dair baad usne mujhse sawal kiya jiska jawab mai khud bhi khoj rahi hu.)

   "Pata nahi,  mujhe wo dairy jald se jald chahiye... mujhse itna sabar nahi hota anwar.."

   "Matlab ke tumhara faisala shaadi karne ka he".

    "Socha to yahi he, par hoga kaise ye nahi pata "
(Usne mera jawab sun kar hansna shiru kiya to mai use gusse wali ankhaw se dekhne lagi)

" tum kya kheee khee kar rahe ho, maine koi joke sunaya he."

  (Meri narazgi ne uski Hansi ko break laga diya)

"Hansne wali hi baat he, jo ladki shaadi ka naam sunna bhi ganwara nahi karti wo sidha dulhan banne ke khawab dekh rahi he.. zahir si baat he hansi to ayegi hi."

  " pehli baat to ye ke mai khawab nahi dekh rahi hu ye meri majburi he, dusri ye ke iswakt mujhe akela chod do."

(Mere request karne par wo fir se apne mazakiya mood me aa gaya.)
    " maine waqai sahi kaha tha us dafa.... tumhari aqal to sach me ghaas charne gayi he."

"Kya matlab he tumhara ".
( mai ut khadi hue to usne wapas mujhe bhita liya)

"Har dafa khud hi faisala kar leti ho wo bhi bina soche samjhe.  Wo dairy tume mil jaye gi. Us ke liye tum apni jaan ko q kunwe me daal rahi ho. Apne andar sabar naam ki koi chiz paida kar lo."

(Usne mujhe samajhane ki koshish ki)

"Sabar hi to nahi hota mujhse, tum rehne do, tum sirf mera mazaak uda sakte ho."

( mai ut kar chalne lagi to wo bhi mere piche piche aa gaya.)

"Suno tani.. mai tumhara mazak nahi uda raha ho.. tume jaldbazi ke faisale se rok raha hu.. q ke jaldbazi me liye hue faisale sari zindagi ke liye pachtawa ban jate he. "

(Maine uski baataw ko an suna kar diya aur gaadi me bhait gayi... mujhe khamush jata dekh kar wo bhi apni car ki simt chale gaya.)



    _____🍃🍃continued to be 🍃🍃_____



                                                          🌷__saji 🌷

Tere sang chale part 6th 👇



Click here for novel "kuch is tarah maza lo zindagi me "👇




Comments

  1. Superb dear 💝💝 no words to describe your talent ❤️❣️ amazing

    ReplyDelete

Post a Comment