Part 1
(“Zindagi dhoop aur chaaw ke manand he, khabi dhoop ki tapish to khabi chaaw ki thandak hamari zindagi me sar-garam hoti rehti he. Par khabi khabar aisa bhi hota he ke saari zindagi dhoop ki tapish me jhulasne ke baad bhi chaaw ki thandak tak naseeb nahi hoti.”)
Noorulain meri badi bahen thi. Naam ke saath saath Uski shakal o surat bhi mujhse bhi ziyada haseen the. Bachpan se wo badi behnaw ki tarah mera khayal rakhti mere saath khelti, garz ham donou me kaafi understanding thi. School khatam hone ke baad college ka admission unhaw ne papa ke kehne par Delhi me kiya. Aur wahi hostel me reh kar apni padhayi mukammal karne lagi. Halanke uska dil nahi chah raha tha ke wo hamse door ho kar apni taleem puri kare. Par ye papa ki zid thi jis se majboor ho kar wo apne shaher ko chod kar dusre shaher chali gayi. Papa todhe sakht mizaaj aur ziddi qisam ke insaan the. Hamesha unhaw ne jo bhi kiya apni marzi aur anaa se kiya. Graduation complete hone ke baad wo Delhi chod kar apne shaher aa gayi. Mera aur noor ka kamra ek tha, bachpan se ham saath me sote the, ghar aa kar 3 din baad papa ne unki shaadi sarfaraaz se tey kar di. Sarfaraz papa ke ek businessmen dost ka beta tha. Par noor is rishtey se khabi khush nahi thi.
Aur uski waja mujhe tab pata chali jab mujhe raat ke waqt uski siskiyaw ki awaz mere kaanaw me padi..
Api, kya hua ? Ap ro rahi he?
(Mai ut kar bhait gayi, magar wo wahi leti ro rahi thi. Maine light on ki aur uske nazadeek ja kar bhait gayi.)
Nahi to,,,,, wo darasal meri tabiyat theek nahi he na.....
(Uski baataw se mujhe lag raha tha ke kuch to wo chupa rahi he. )
Api mai apko bachpan se janti hu, apne khabi mujhse koi baat nahi chupayi. Ham donou hamesha ek dusre se share karte aye he. Phir aisi kya baat he ke aj mere puchne ke bawajood bhi ap mujhe taal rahi he jab ke mai achi tarah se waakif hu ke ap kuch to baat mujh se chupa rahi he..
( wo ansuwaw se tarr muhabbat bhari nazraw se mujhe dekh rahi thi jaise wo kuch kehna chah rahi ho. Uski ankhaw me ansu dekh kar meri ankhe bhi nam ho gayi)
( todhi dair baad wo apne almari ki taraf chali gayi aur kuch dhundne lagi, phir ek tasveer le kar mere paas aa gayi.. ek khubsurat nawjan apni pyari smile ke saat noor ke saat kadha tha. Mai hairat si nigaahe uski or phair li to wo apni nazre jhukaye apni kahani batane lagi)
Tum janti ho naazu ye kon he?
(Maine ishare se naa kaha to wo khud hi batane lag gayi.)
Timsaal hasan..... ye meri friend neeha ka bhaayi he, waise neeha ke bare me tume maine bahut baar keh chuki he. Uski family background ke baare me bhi mai kaee dafa tumhare samne zikar kar chuki hu. Par Timsaal ke baare mein mai ne tume khabi kuch nahi bataya. Q ke mai chahti thi sahi waqt ane par sab ko batau. Mai is shaadi se razamand nahi hu nazu, mai Timsaal ke ilawa kisi aur ke bare me tasawwur bhi nahi kar sakti.
(Itna keh kar wo phir se rone lagi, mai use dilasa dene lagi)
"Api ap ki mulakat Timsaal se kab hue?"
Aj se taqreeban 4 saal pehle, halanke Delhi me maine apni zindngi ke 5 saal guzare, meri neeha se bahut gehri dosti ho gayi, mai aksar off day time neeha ke saat unke ghar jati thi. Neeha ki daadi aur mama se mai todi attached ho gayi thi. Neeha ka sirf ek bhaayi tha. Timsaal, jo ke apni higher studies ke liye U.S gaya hua tha aur papa to uske sara din office me hote te, aur jab meri mulaqat ho jati wo badi shafqat ke saath mujhse baat karte. Mera unke yahan ana jana ho jata tha. Mere Delhi jane ke theek ek saal baad wo india aya hua tha. Mai apni holidays khatam kar ke delhi pahunchi to meri mulaqat usse hue jab mai neeha se milne ke liye unke ghar gayi thi.
Hi, apka taaruf?
( black jeans aur white t.shirt me wo kaafi handsome lag raha tha, mai chonk kar uski taraf ek nazar dekha aur apni nigaahe idhar udhar pherne lagi ta ke neeha kahi nazar aa jaye. Mujhe is tarah dekh kar wo taajjub khaiz andaz se puchne laga.)
Ap kisi ko dhund rahi ho?
" ji, neeha nazar nahi aa rahi he" ?
Acha, apko reeha se kaam he. Just wait, mai abhi bulata hoon.
(Wo mujhe sofe ki taraf baithne ka ishara kiya aur reeha ko pukarte hue andar chala gaya. Todhi dair baad wo neeha ko apne saath le kar wapas aa gaya. )
"Ohh noor, tum kab wapas ayi? At least call to kar liya hota mujhe".
Mai kal hi wapas loti hu.
( Maine jijakhte hue kaha, kyunke mai janti ti uski nigaahe mujhi par jami hue thi. Ek ajeeb si kaifiyat mujh par taari ho gayi,)
Waise noor ye mera bhayi he Timsaal, U.S se aye hue ek hafta ho gaya.
(Neeha ne mehsoos kiya ke mai nervous ho rahi hu to wo mujhe apne saath le kar kamre me chali gayi. Mere jane ke baad usne neeha se meri history puri puch li hogi jabhi to dusri baar hamari mulaqat hue to wo aise baat kar raha tha jaise wo mujhe pehle se janta ho. )
Hi, kaisi ho ap?
Ji, theek hu.....
(Mai phir se dari sehmi awaz me baat karne lagi, hamari family me restriction bhi aise hi the. Aur papa to is mamile me kaafi sakht mizaaj the. Isliye khabi koi mard mujhse mukhatib hota to mai aisi hi dari sehmi ho jati.)
" ap kya mujhse darrti he."
" ji nahi, mai apse q daru "?
(Mai hichkichate hue kehne lagi to wo apni labaw par halki si muskurahat sajaye bhaita)
" acha to apki harkate dekh kar to mujhe yahi lag raha he ke ap dari sehmi hue ho"
(Mai apni ungliyaw ko maror rahi thi aur uski nazre meri haataw ki taraf thi, shayad isliye usne meri kaifiyat ko jaan gaya hoga.)
Waise apko mujhse darne ki zarurat nahi he. Mai bhale hi baahar mulk me apni padhayi mukammal ki he lekin apni tehzeeb bhula nahi hu. Is liye ap mutmain ho jaye.
Jiii (mai hairat se uski taraf dekha)
"Yahi to mai keh raha hu jiii"
(wo mere hi alfaaz dohra raha tha, ignore kar ke sidha andar chali gayi. Aur dadi se baate karne lagi. Maine notice kiya ke wo kamre ke baahar ahista se mujhe dekh raha tha. Itne me reeha bazar se wapas aa gayi, Timsaal ko kamre ke bahar dekha to wo sawal karne lagi.)
Oye hello, ap yahan kya chup chup kar dekh rahe he,
Kuch nahi, mai yahan daadi se milne aya tha
(Wo aise bokhla raha tha jaise uski chori pakdi gayi ho)
Agar dadi se milne aye ho to yahan kyun kadhe he?
Mai to,,,, mai to bas jane wala tha
(Wo apni wazahat de raha tha magar neeha musalsal use tang kar rahi thi)
Haan,,,,,,,,,! Tum to bas jane wale te. Gaye nahi na. Ab yahan se chale jao. Baad me mil lijiye ga dadi se.
(Wo timsaal ko halke dhakke dene lagi )
Arre.. ....! Aise kaise chala jaun
(Wo apni khande uchkaaye wapas darvaze ki taraf aa gaya)
To ap kya khawateen ki mehfil me shirkat karenge.
Jiìiiii......
(Donou ki behas dekhkar dadi ne donou ko andar bula liya. )
Arre tum donou bahar kadhe kya ek dusre ko tang kar rahe ho.
"Daadi mein to nahi, ye apki choti din ba din badmaash hote ja rahi he."
( Timsaal ne zor se neeha ke baal khinch liye,,, neeha ki chinkhne se daadi phir se unki class lene lagi. Mai apne hansi ko hontaw me dabaye hue bhaiti thi. Izzat o ehtraam ke kaaran maine apni hansi ko khul ke izhaar nahi kar payi.)
Timsaal, jao ja kar mulazima se keh kar dryfruits aur juice ka ehtimaam karwao.
Jao jao, bade aye te daadi se mulaqat karne.
(Neeha use akhda rahi thi. Usne mun basorte hue waha se chala gaya.)
_______€€€€______
Din bitte gaye, mai pehle se kam neeha ke ghar jane lagi. Q ke aksar mere jane ke baad pehli entry me hi Timsaal se mulaqat ho jati, phir usse behas o mubahise ke baad neeha se mulaqat hoti. Isliye mai ne wahan jana hi kam kar diya. Neeha mujhe kisi na kisi bahane mujhe bulati par mai use taal deti thi. Q ke mai janti ti zarur Timsaal ne ye sab kehlawaya he... akhir ek din neeha ki dadi ne raat ko khaane par bulaya... unke israar par mai razamand hue thi. Sabz rang ka saada suit, kaanaw me silwar jhumke bina makeup kiye aise hi tayyar ho kar mai waha chali gayi.
Sofe par bhaiti mai neeha ka wait kar rahi thi. Neeha mulazima ke saat todha kitchen me busy thi.
Usne mujhe drawing room me bhita kar abhi ane ka keh kar chali gayi. Kuch dair mai yuhi bhaiti idhar udhar ankhe phairne lagi phir sofe se utt kar almari ki taraf chali gayi jahan alag alag kitaben qareene ke saath rakhe hue the. Mujhe sher o shayari bahut achi lagti, khabi khabar free time me kitabaw ka mutaaliaa karti. Ab jab ke mai bore ho rahi thi to apne akelepan ko door karne ke liye allama Iqbaal ki kitab le kar padhne lagi. Kuch dair baad mere samne Timsaal kadha tha. Suit boot me malboos, haat me laptop bag liye wo mujhse mukhatib ho raha tha.
" kaisi ho ap?"
Ji theek hoon, ap kaise he?
(Isbaar mai dari sehmi nahi thi. Balke kafi had tak normal thi. Shayad mujhme todhi bahut himmat jo aa gayi thi. Mere puchne par usne halki si muskurahat ke saath jawab diya.)
Ji.... Allah ka shukar he. Waise apne khabi bahut dinaw baad meri khairiyat puch li...... acha to ap par ye rang kaafi suit kar raha he.
( mere khamush hone par wo khud hi hamkalaam hua. )
Ji....thank you.
Waise, ap kaafi dinaw baad nazar aa rahi ho. Koi narazgi ham logou se.
(Mai phirse kitab me magan ho gayi thi uske sawal par maine use ghoor kar ek nazar dekha )
Ji... aisi koi baat nahi he.. mai ap logou se q naraz ho jaungi.
"Acha to ap naraz nahi ho,,,,,, waise mai janta hu ke ap meri waja se yaha nahi ati hogi. Khair, ap mutmain ho jaiye. Mai to sara din office me hota hu. To apko meri disturbance nahi hogi."
(Mai kitaab me wapas magan ho gayi to to wo mere haat se kitaab chin liya. Aur kitaab ke title ko dekhne laga.)
Acha to sher o shayari ho rahi he. Waise allama Iqbaal ko janti ho ap?
(Uske ajeeb sawalat se mai tang aa gayi thi. Isliye socha ke wapas usi ko tedha jawab doon.)
Jiiii.... wo hamare padhosi jo tehre...
Jiii,,,,,,,!
(Use ye tawaqqu hargiz nahi thi ke ek dare hue lehje me baat karne wali ladki aj usse confident ke saat baat kar rahi thi.)
Acha to ap apne ghar ka address hi bata de, apse mulaqat karne ke liye khabi apke ghar ka rukh karenge to apke padosi se bi baat ho jaye gi.
(Bhala usse bhi koi jeet sakta tha. Acha hua neeha ke ane se mazeed behas na ho payi.)
"Yaar bhaayi, ap kyun meri friend ko tang karte he. Ek hi to waahid friend he meri, apki in harkataw se mai kahi ganwa hi na doon".
Nahi nahi, tum kyun ganwa do gi. In fact mai to chahta hoon apki ye dost hamesha apke paas rahe.
(Usne maani khaiz andaz me kaha to mai chonk gayi.)
Ji.,,,,,,,!
"Yaar noor tum inki baataw pe dhiyan mat do. Hamesha ke pagal he."
( mere hairat se dekhne par neeha ne mujhe itaminan dilaya aur apne saat le kar chali gayi)
__________continued to be_________
🌷🌷saji🌷🌷
Hi guys,
"This is my second story on the blog. I hope you enjoy reading it. Inshallah the next part will come soon so please stay connected with me. And how you feel about this story will be told in the comments.👇👇👇
Click here for part 2 👇
Click here for my poetry video ⬇️
Part 1 is interesting waiting for next
ReplyDeleteAchi hai ye story bhi agle part ka intazar hai
ReplyDelete