Tere sang chale (part 2)

Part 2

 
     Din guzarte gaye..... aur mai neeha ke ghar Timsaal ki gair maujudgi me jane lagi. Khabi khabar meri mulakat Timsaal se ho bhi jati to salaam dua ke baad seedha reeha se mulakat karti. 
Ek raat mujhe unknown number se call aya. Pehle to maine ignore kiya magar musalsal call ane se mujhe receive karna pada.
    "Hello, kon?"
     Ji, mai bol raha hoon, pehchana nahi 
 (Dusri taraf jani pehchani si awaz malum hone lagi.)
     Ji..... nahi 
H(Mai soch hi rahi thi ke ho na ho ye Timsaal hi hoga, magar usne apna taaruf khud kiya.)
    "Timsaal baat kar raha hu"
      "Acha, ap ko mujhse koi kaam tha "
     (Mai hairani se puch rahi thi).     
   Ap ghar pe to ati nahi ho, agar ati bhi ho to baat nahi ho pati.  Socha apko call hi kar lu 
    Acha...koi kaam tha mujhse 
     Nahi, kaam to nahi tha.. albatta apse kuch baate zarur karni thi...
       (Wo shouqiya andaz me keh raha tha)
      Itni fursat mere paas nahi he ke mai apki baate sunti rahu. Waise bhi kal mera exam he padhayi karne de.
       (Dusre hi lamhe maine phone kaat diya. Mai janti ti wo mujhse kya baat karne wala tha.  Magar mai nahi chahti ke use apne dil ki baat kehne ka moqa mile. Wo musalsal call karta raha magar maine apna phone silent kar diya tha.)
     Is baat ko guzre 2 hafta ho gaye. Usne dubara mujhe call nahi kiya. Khabi sochti ke ja kar usse maafi maang lu.... magar dusre lamhe khayal ata ke nahi agar maafi maang li to use apni baat kehne ka moqa mil jaye ga... hamari family ke background ko to tum janti ho naazo... is liye mai bhi use wapas contact karne ki koshish nahi ki... acha to!!! Hamare exams khatam ho chuke te.. aur holidays start hone wale te... mai apne ghar ane ka soch rahi ti.. waise chuttiya to mai hamesha apni family ke saat hi guzarti hu... us raat mujhe Timsaal ke number se msg aya.
       
          "Noor, mai janta hu ap mujhe galat samajh ti he. Mai apko pareshan nahi karna chahta.  Bas mujhe ek baar akhiri moqa to de apni baat kehne ka... mai janta hu tum apne ghar ja rahi ho magar jane se pehle plzzz ek baar mujhse mil lijiye ga. Mai apko address send karta hu plzz aa jaiyega. Mai apka muntazir rahunga."
 
       Uske ek sms ne meri raat ki nind hi uda li.. isi kashmakash me mubtila subah ho gayi aur ye irada kiya ke chalo akhiri baar sahi mil leti hu. Mai itni zaalim to nahi hu ke koi itni request karle aur mai unki baat bhi na sunu. 

         White dress pehne mai uski batayi hue jagah par chali gayi. Wo abhi tak aya nahi tha. Kaafi pursukoon jagha thi. Kuch couples bhi nazar aye jo apna wakt guzaar rahe the.  Ek nazar apni ghadi par dawraayi.. 5 baj chuke the... magar abhi tak wo aya nahi tha.. socha ke wapas chali jaun.  Magar phir ruk gayi. 15 minute baad wo mere samne maujood tha. Use dekh kar pata nahi meri nazre khud ba khud jhuk gayi. 
      "Iam sorry, mai late ho gaya. Actually apke liye Rose lene gaya tha."
      (Uske haataw me khubsurat sa gulaab ka phool tha. Jo wo meri taraf pesh kar raha tha. Mai ne kuch der tak socha phir uske ishara karne par le liya.)
       "Apko to kuch kehna tha, kahiye, mere paas ziyada wakt to nahi he. Hostel ja kar parking bhi karni he. "
    (Mai use yaad dilane ki koshish ki. Wo mere hi bench par todhi fasale par bhait gaya.)
      "Ji.... kehna to mujhe bahut kuch he. Sab se pehle to thank you. Yahan ane ke liye...... dusri baat ye ke mai apse shaadi karna chahta hu.."
    (Wo ruk ruk kar dheeme lehje me keh raha tha. Aur mere to jaise pairaw ke niche se zameen kisak gayi ho.)
       Apko pata he ap kya keh rahe he.
      " Ji,,,,, mujhe pata he ke mai kya keh raha hu. Mujhe ap pehli nazar me hi pasand aa gayi thi. Jitni khubiyan mujhe ek lifepartner me chahiye wo sare apke andar moujood he. Mai janta hu ap is wakt mujhe galat samajh rahi he. Magar plzzz ap is bare me soch lijiye ga..mai ye baat apni family me bata sakta tha. Magar mai chahta hu ke pehle apki marzi jaanu phir shayad koi aur faisala karu."
     (Pata nahi q uswakt mujhe us par taras bhi aa raha tha aur gussa bhi.)
      "Dekhiye,  pehle to mai apke baare me aisa mehsoos nahi karti aur dusri baat ye he ke ap hamare family background ke baare me kuch nahi jante.isliye behattar hoga ap ye sab bhool jaye."
   
     "Nahi noor, aisa mumkin nahi hai. Bhala muhabbat bhi koi bhula sakta he. Dekho tum jitna chahe wakt lo. Par plzzz inkaar mat karna."
     (Uski baataw se mai kuch der khamush rahi. Samajh nahi aa raha tha kahu to kahu.  Phir mujhe neha ka khayal aa gaya.)
    
     Kya neha ko is baat ka pata he?
    
         Ji.... maine use pehle hi bata diya tha. Magar mai ne use apse is baare me baat karne se mana kiya tha. Kyun ke mai chahta tha ke ek din mai khud apse baat karu.
     
        "Dekho Timsaal, tum ye shaadi ke khawab dekhna bhool jao.. mere papa bahut sakht mizaaj ke admi he. Agar unhe pata chala ke unki beti ishq aashiqi ke chakkar me pad gayi he to wo mera bhi aur tumhara bhi kaam tamam kar denge."
     (Papa ke khayal ate hi mai dar si gayi. Q ke mai janti thi papa khabi is rishtey ko accept nahi karenge.)
     "Noor tum apne papa se itni darti q ho? Meri family he na wo apke ghar rishta le kar jayenge. Ap itna q sochti he."

       "Sochna padta he Timsaal. Kyunki ap kuch nahi jante meri family background ke baare me. Plzz meri apse request hai ke ap is topic ko yahi khatam kar de."
       (Mai uske samne haat jodne lagi to wo mera haat thaam kar mujhe dilasa dene laga.)
    
      "Dekho meri taraf,,,! Mai sab sanbhaal lunga. Tum pareshan mat ho. Aur haan jab tum wapas aajaogi to mai koi inkaar nahi sunuga. Ye chuttiya apke liye mohlat he meri muhabbat ke baare me sochne ka. Uske baad faisala kar lijiye ga. Okay....?"
  
(Wo mujhe itminan dilaya to mai bhi khamushi se apne sar ko jhuka liya.)
 
               ____________●●●●●●●●●●____________
         Us wakt ki chuttiyan mere liye bahut mushkil si ho gayi thi. Samajh nahi aya ke kya karu. Mai uske baare me khabi galat tasawwur to nahi kiya tha. Magar mai usse kaafi doori baratti rahi taa ke kuch log jitne door rahe utna hi behattar hota he. Papa ke mizaaj se mai to waakif ti magar wo to nahi tha. Dusre hi lamhe dil chahta ke uska proposal accept karu. Kyunki us se behattar jiwan saathi mujhe khabi nahi mil sakta. Kisi ka tasawwur jab had se ziyada dimaag par haawi ho jaye to insaan ko usse muhabbat ho hi jati he. Chuttiyan meri yahi kashamkash me guzar gayi. Kal Delhi ki meri flight thi. Aur pata nahi dil mera bahut khush tha. Halanke hamesha mai apni chuttiyan guzaar kar jati thi to dil mera bahut afsurda hota tha. Magar is baar dil me ajeeb si khushi thi jaise bahut sari chizen mere muntazir ho. Aur sab se badhkar to Timsaal mere muntazir tha. Mai jaldi jaldi packing karne lagi aur us raat mujhe khushi se nind bhi na ayi thi. Baharhaal mai Delhi pahunch gayi thi.. University start hone ke liye aur 2 din baaki the. Mere pahunchte hi neha ne mujhe call kar ke puch liya tha ke mai khairiyat ke saat pahunchi ya nahi..
Usne mujhe khaas tor par ghar ane ki talqeen ki thi.
Asmani rang ka suit pehne mai neha ke ghar chali gayi. Sab log pyar o muhabbat ke saat mile.magar meri ankhe us shaksiyat ki talash me ti jisne mere dil ki diwaar ko apni muhabbataw se jhanjoda tha. 
 Kuch lamhe baad wo bhi chala aya jiska mujhe bhi intezar tha. Uski nazraw ki tapish se meri ankhe khud ba khud jhuk gayi.

       Assalmualaikum.........(wo shayad office se ghar lota tha. Salaam daal kar wo andar chala gaya.phir neha mujhe apne kamre me le gayi. Jahan hamne khub baate ki. Todhi der baad darwaze par knock ho gayi to darwaze par Timsaal khada nazar aya..
         "Ji bhaayi, koi kaam?"
    "Tume chips dene aya tha, ye lo. Chill karo."
(Usne ne neha ke haat chips ke 2 bade packet thama diye.)
  "Acha to ye chips ke bahane tumhare mai acchi tarah se janti hu. Jaiye yahan se."
    (Usne Timsaal ko dhaka de kar bahar nikaala.)
  Ajeeb ho yaar tum bhi, bhalayi ka to zamana hi na raha.
(Wo badbadate hue waha se chala gaya. Uske jane ke baad mai apni hontaw me dabi Hansi ko khul ke izhaar kiya.)
    "Arre waah aj madam ke qehqahe kuch ziyada nahi ho rahe."
(Wo bhi saat hans padi. Us din ham ne kaafi enjoy kiya. Phir mai wapas hostel chali ayi. Raat me sone lagi to mere mobile me msg ki tone baji. Dekha to timsaal ka msg tha.)
       "Kaisi ho? Janta hu tum soyi nahi ho. Kehte he muhabbat jin ko ho jati he unhe bhala nind kahan se aye. Waise aj tum cute lag rahi thi."
  (Uska msg padh kar mere labaw par halki si muskurahat ayi. Aur mai bhi reply dene lagi.)
     "Acha to ap ko kaise wahem ho gaya ke mujhe bhi muhabbat ho gayi he.zaruri to nahi ke har jaagne wala insaan apki tarah ishq maashuqi me hi pad jaye."
       "Aj jab ap ghar ayi thi to mujhe dekh kar jo apke face par smile ayi ti wahi muhabbat ki nishani he. Dusri baat to sahi he ke har ja8gne wala insan meri tarah to nahi hota. Magar yahan insanaw ki nahi apki baat ho rahi he. Aur mai janta hu is ek mahine me meri izhaar e muhabbat apke khayalaw me roz gardish karti hongi jabhi to apka dil meri taraf kinchte chala aya."
  (Uske paas to mere har sawalaw ke jawab pehle se moujud hote the. Der raat tak hamari chatting hoti rahi.dusre din mujhe university bhi jana tha. Isliye mai apne mobile ko silent kiya aur so gayi.)
             _________€€€€€€€____€€€€_______

                    ☆☆continued to be☆☆
    
Click here for part 3   

              
                🌷🌷Continued to be🌷🌷 
                                                         ___saji

Comments

  1. Should say👌👌👌 d way u write the story is far impressive and d story is just interesting.. Eager to check next part.💖💖

    ReplyDelete

  2. This story is olso nice
    keep it up Saji
    agli story ka intazar hai

    ReplyDelete

Post a Comment