Part 8
(Kehte he har insaan ki zindagi me aise mawaqe zarur ate he jiska inthikhab karna hamari majburi ban jati he.. aik aisa inthikhab jiski chaah to nahi hoti magar qudrat use hamari muqaddar bana deti he.)
______¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤______
Yaar Tani aj kal kahan busy ho?
(Nadia ne college milte hi uski khabar li)
Kuch nahi yr, bas wo Dr Saleem he na uska beta aya hua he... ufff sar kharab kar diya us chuchundar ne....
Kis chuchundar ki baat ho rahi he bhai?
(Saima ne ate wakt akhiri jumla suna tha)
Kuch nahi yr....just leave that... koi aur mouzu par baat kiya jaye.
(Maine ne us topic ko badalne ki koshish ki , achanak meri nazare samne todhi si door bench par padi.. jahan anwar bade gor se kisi kitab ka mutalia kar raha tha..)
Yaar ye anwar ko kya hua he? Hamse milne tak nahi aya...
(Mai hairangi se sawal karne lagi.)
Use to kuch nahi hua... par tume zarur kuch na kuch hua he.
(Saima bich me bol padi.)
Mujhe kya hona he.. samne to hu tumhare.
(Maine kandhe uchkaate hue kaha to sadia ne mere kaan pakad liye.)
Acha to abhi ho... 2 din se ham tumhara phone try kar rahe te. Switch off q aa raha tha.
"Sorry yr, darasal us chuchundar ne jab se meri insult ki he tab se le kar aj tak mera deemag kaam nahi kar raha he... uski himmat kaisi hue jo apni behan ke samne meri insult pe insult karta chala gaya."
(Mera dimaag phir se off ho gaya)
Yaar baat to kuch alag he. Kahi tumne use khabi tang to nahi kiya tha jo tum se badla lene pe tula hua he.
(Sadia kuch soch ke kehne lagi)
Yarr mai q use khaamakhaa tang karu, hospital ki mulaqat se le kar dinner tak meri insult kar ke mera hi mazak uda raha he..had he bhai.
Akhir chahta kya he wo?
(Saima apne saath mujhe bhi sochne par majboor kar diya)
Ye to mujhe bhi nahi pata.
(Maine nafi me sar hila diya)
Areee to pata kar lo na ....!
(Donou hi saath me bol pade)
Kya pata karna he?
(Anwar bhi unke saath mil kar bhaith gaya.)
Yarr ye Tani ke saath kuch masla hua he usi ke baare me ham discuss kar rahe the..
(Saima batane lagi.)
Iske saath kya masla ho sakta he. Ye to khud dusraw ko mushkil me daal kar khud rafu chakkar ho jati he..
Anwar........🙄(uski baat par mai Narazgi se use ghuurne lagi to wo muskura Dia.)
Pehle ye batao ke tum udhar akele akele konsi kitaab ka mutalia kar rahe the..?
(Mujhe achanak khayal ane par usse sawal kiya)
Naraz tha tumse.....
Naraz.......? Mujhse.... wo q bhala?
(Mai hairangi se puchne lagi)
2 din se na call na msg ..... phone ko kidhar phenk diya tumne.... jo 2 din se la pata he.
(Usne jab apni Narazgi batayi to meri hansi khud ba khud nikal padi)
Aur achanak se Narazgi kaisi chali gayi.
(Mai hanste hue puchne lagi to wo mu phulaye hue mujhe ghoor raha tha.)
Itni dair se akele kitaab liye bhaita hu, banda jhute mu puch hi leta he.. magar tumse wo bhi na hua... isliye mai hi tumhare paas chale aya.
"Acha to ye baat he, to phir suno ke ajkal mere saat ho kya raha he..."
Tumhare saat kya ho raha he.. is everything fine?
(Wo fikarmandi se puchne laga)
Yr suno to sahi .... phir baat karna..
(Maine sari kahani batayi... aur lambi saans chod di... anwar ke chehre ka rang pheeka pad gaya tha... aisa lag raha tha jaise Maine koi sanjeeda kahani use sunayi ho...)
Tume kya hua he anwar?
(Uske haataw me apna haat rakha to wo jaise chonk sa gaya.)
Kuch nahi...tum usse door hi raho.... q ke aise mardaw ka koi bharosa nahi hota... kab koi dusra roop ikthiyar kar le. Agar ziyada tang kar le to mujhe keh dena.. (wo utt khada hua to uske saat ham bhi ut khade hue)
Tum kya kar loge....? (Mai dare se lehje me puchne lagi)
Wo tume fikir karne ki zarurat nahi he.
(Itna keh kar wo wahan se chala gaya aur ham use awaz dete hi reh gaye.)
...................••••................
Allah taalaa ne agar bande me koi mutaasara chiz paaid ki he to wo akhlaq aur dusri Muhabbat he.. uff Muhabbat jitni shaistagi is lafz me sunaayi dete he hakiki maanaw me ye lafz zindagi me bahut kuch sikha deti he... Muhabbat me sarshaar hone wale anginat kahaniya apko sunne milegi.... khabi hasil to khabi laa haasil ashkhas ka bhi samna hoga. Har shaks ki nazar me ye lafz alag alag maani rakhta he. Aur har maani uski zindagi se juda hota he...
Tani Tanii......
(Iram ki awaz par mai chonk gayi.. pani ka glass table par rakha aur bahar hall ki taraf chali gayi. Samne iram kadhi thi. Usne mujhe dekhte hi Salam kiya aur haal o ahwaal puchne lagi..)
Aunty kahan he? Kahi nazar nahi aa rahi he?
(Usne charaw taraf apni nazre dawraayi aur puchne lagi)
Mama nahi he.... wo market gayi hue he.. abhi todhi dair baad aa jayegi..
Acha...waise mujhe ek assignment ke bare me kuch puchna tha. Usi silsile me tumse milne ayi hu..
(Wo apne assignment dikhane lagi.)
Sorry yr tume disturb ki... magar pichli dafa tumne kafi kuch mujhe bataya tha to mujhe laga tum hi meri madad kar sakogi..
(Usne masumiyat ke saath kaha to mere labaw pe halki si muskurahat phail gayi. )
Aree! Aisi koi baat nahi.. tum jab chahe mujh se milne aa sakti ho...
Thanks yr....!
(Mai fatafat se use guid karne lagi.. q ke mujhe pata tha ke wo chuchundar bahar ghaadi me bhaita apni behan ka wait kar raha he. Aur mera dil uska samna karne par hargiz gawara nahi tha...)
ASSALMUALAIKUM......
(Mama ki awaaz par mai aur iram donou palat kar dekha to nazo khala ke saath wo chuchundar bhi tehra hua tha. Laal rang me malboos shirt uski rangat par numaya ho rahe the... maine use khabi gor se dekhne ki himaqat bhi nahi ki magar achanak si nazar us par padi to mai wahi thathak thatakk kar dekhne lagi..
Salam ka jawab?
(Uski nazre meri taraf thi)
Walaikumsalam.....(Iram bol padi)
(Nazo khala Dr saahil ko bhaitne ka keh kar kitchen ki taraf chali gayi)
Lagta he kisi aur ko salam ki awaz sunayi nahi diya hoga....
(Uska nishana meri taraf tha.)
Oh bhai... plzzzzz abhi phir se tani ko tang karna shiru mat kariye ga... waise bhi assignment ke mutaaluq jo doubts te wo clear ho gaye he... I think hame chalna chaiye...
(Iram bhi meri side le rahi the.)
Lekin mere doubts abhi tak clear nahi hue he..
Tume kya doubts he?
Tum Aunty ko khabi mama kehti ho to khabi khala kehti ho...? Aisa q..?
(Wo aise puch raha tha jaise wo mera hukmaran ho. Meri palke khud ba khud jhuk gayi. )
Q ke unse mera rishta kuch isi tarah ka he..
Bhaai ap bhi ajeeb se sawal liye bhaite he. Chalo na dair ho rahi he...
(Mera utra hua chehra dekh kar darmiyan me hi keh diya)
Areee! Tum donou bhaito to sahi.... Tani tumne kaha nahi...
(Khala haat me lawazimat ki tray liye hue hall me dakhil ho gayi.)
Mama ap guest ko dekh le. Mai washroom ho kar ati hu...
(Dabe hue lehje me kaha to khala bhi mujhe ek pal ke liye takne lagi... phir misbat me sar hila diya.)
○○○○○○○ continued to be ○○○○○○○
____$@jì
Can't wait for next part 😍😍so much of suspense 😉😉
ReplyDelete