Kuch is tarah maza lo Zindagi me part 8

Part 8

    
 Mai nam ankhaw se papa ko dekhne lagi, mai apne dil ki badalti kaifiyat ko kisi se bayaan nahi kar sakti.. 
      "Kya hua beta"?( papa mujhe kamush dekh kar puchne lage)
       "Kuch nahi papa, bas apko meri marzi ke bagair unke proposal ko accept nahi karna chahiye ta. At least mere ane ka hi wait kar lete".  
      Bataya to he ham ne ke kitni baar tumse baat karne ki koshish ki thi. Par  jab bhi ham tumhari shaadi ke hawale se koi baat karte te to ya to tum phone kaat deti ya phir topic change kar leti. Chalo ab jo hua he use badalne se koi faida nahi. Behatter hoga tum bhi ye rishta accept karlo. Bachpan se aj tak ham ne tumhari har khawaish ko pura karte aye he, tumhe highest studies karna ta hamne tumhe bahar padhne ke liye bhej diya. Doctorates ki degree bhi haasil ki aur waha salaaw tak apni khidmaat anjaam di. Tab bhi hamne tumhari khawaish ko samajh te hue ijazat de di. Kya itni sari Khawaishat pura karne ke baad kya tum hamare tey kiye hue ek rishtey ko accept nahi kar sakti.  Akhir q? (Papa ke chehre par gusse ke asaar nazar aa rahe te).
           Papa, Khawaishat pura karna alag baat he aur shaadi ka faisala karna alag baat. Shaadi puri zindagi nibhane ka rishtey he aur is ka faisala itni asani se nahi liya jata. Kam se kam ladki ki raza mandi bhi to usme shaamil ho. (Maine papa ko samjhane ki bahut koshish ki ) 
         "Kya mai tumhare inkaar ki waja puch sakta hu"? 
         Papa mujhe todha time de, phir koi faisala karlena.  At least mera dil bhi to razi ho ubaid ko apna life partner ki haisiyat se qabool karne ke liye. 
      (Itna keh kar mai waha se chale gayi. Kamre me ane ke baad bahut socha ke kaise apne dil ko samjhaun, mujhe to ye bhi nahi pata ke ahmar mere baare me kya sochte honge. Agar ahmar sahab ke dil me mere liye aisi koi feeling nahi ho to. ....? Phir mai kya karungi ... soch soch kar dimaag  off hota chala gaya ta. Itne me umaira aa gayi )
         Namra , ye kya behuda si baat keh kar gayi tum?  Tumhe andaza bhi he ke mere sasural me ye baat phail gayi to kya hoga. Apni na sahi to kam se kam meri izzat ka hi khayal kiya hota .( umaira ko na jane ye baate kis ne batayi hogi )
     Umaira api, Maine kuch galat decision to nahi liya he na.
     Namra, tum janti ho tumhara ye decision mujh par kitna bhaari pad sakta he. Khabi is baare me socha he tumne. (umaira ko tension lete dekh kar mai use samjhane lagi)
      Api aisa kuch nahi hoga, ap ubaid se araam se baat kar ke samjha sakti he. Ap q itna fikir kar rahi he. ap unse mera naam le lijiye ga ke mai filhaal is rishte se raazi nahi hoon.
       (Mai ne use itminaan dilaane ke liye haat pakda to us ne mere haat ko jhatak diya.)
       Tumhe kya lagta he tum mana karogi aur sab khushi khushi maan jayenge. Aur ubaid ko mai kaise samjhau, wo khud tum me interested he.  Khair, tum se to baat karna hi bekaar he. (Itna keh kar wo chali gayi aur mai na jane kin sochaw me ulajh gayi ).
          Is baat ko 4 din guzar gaye, sab logou ka rawayya mujhse ukhda ukhda sa ta. Koi meri baat sunne ko tayyar bhi nahi ta. Aise hi pareshan kan sochaw me ghoom ti,  phone ki ring se mai hadbada uthi. Screen par nazar padte hi mere labaw pe halki si muskurahat ayi.... aur mai bina dair kiye jaldi se call received kiya.maine uske salaam ka jawab diya. Aur usse Aleena ke baare me puchne lagi.
            Aleena bilkul theek he. Par wo tume bahut yaad karti he. Aur q na yaad kare,bachpan se tumhe hi to dekhte ayi he.
   (Maine uski baate khamushi se sunte rahi, phir mai ne uske dila me jhankne ki koshish ki ke wo mere baare me kya sochta he.)
      "To phir aap uske liye aisi maa ka intikhab q nahi karte jo uske saath saath apka bhi khayal rakh sake".
      (Dusri taraf khamushi thi, mai ne unhe khamush dekh kar khud hi kehne lagi).
        "Mai janti hu reeha ki jagha koi nahi le sakta, Par yaadaw ke sahare zindagi nahi guzari jati, Aleena bahut choti he, ap 24 ghante to uska khayal nahi rakh sakte. Uske liye maa ka hona bahut zaruri he,, I hope ke ap samajh gaye honge..
      (Mai unke jawab ka intizar karti rahi, kuch dair baad unke sawal ne mujhe hairaan kar diya)
    "Namra, kya ap Aleena ki maa banna chahogi?"
    Mai, ,,,,,! (Socha na tha ke ye jawab mujhe jald hi sunne ko milega )
      Haan..! Ap,  mujhe pata he ap mere sawal se hairaan ho gayi ho. Lekin apse behatter koi
bhi Aleena ka khayal nahi rakh sakta.
      "Wo to theek he, apne Aleena ke baare me soch kar kaha, Par aap ne apne baare me kya socha".
       (Kuch dair tak wo khamush raha phir kehne laga)
        Mai ne ye faisala Aleena ke baare me soch kar kiya he, mujhe nahi pata ke mai apko reeha ki jagha de paaunga ya nahi. Haan ap ke saat zindagi guzaar ke mai aur Aleena donou pursukoon reh paayenge.. pichle ek saal me mai ne apko jaana he, aapne jo meri mushkil wakt me saat diya, yakeen maano mere dil me apke liye izzat bahut badh gayi he. Aur koi bhi rishtey me muhabbat se ziyada ahem rishta izzat ka hota he. Muhabbat ke bagair wajood mumkin he magar izzat ke bagair iska tasawur bhi nahi kiya ja sakta.

               ××Continued to be ×× 

Click here for part 9

Comments

  1. Incredible... ❤❤😚... Subscribe to ur Blogs dear...
    --Sumona.

    ReplyDelete

Post a Comment