Kuch is tarah maza lo Zindagi me, part 4


Part 4


   Maine apne dost se uske background ke bare me pata kiya , aur apne dost ko hi uske ghar apna rishta bhejne ko kaha ... uski family kayi saalaw se bahar hi muqeem thi. Apne cousin ki shaadi me o India aye hue te.  Kuch dinaw baad wo wapas dubai chale jane wale te. Pehle to unhaw ne mana kiya,  Par mere dubara israar par wo maan gaye . Wo apne donou bhaiyaw ki laadli thi. Shayad isliye uski shaadi ke baare me khabi khayal nahi kiya hoga. mera dil bhi ziddi tha, bahut kuch khone ke baad koi ek chiz dil ko lubhayi ti .aur uske bagair jina mai tasawur  bhi nahi kar sakta ta. Mere bahut ziyada israar par unhaw ne ek hafte baad hi shaadi ka intizaam kiya,  halan k unke bahut se armaan bhi honge. Behrhaal hamara nikah saadgi se hua. Aur wo dulhan ban ke mere ghar ko roshan karne ke liye aa gayi . Is samey ashraf baba ki khushi ka koi thikana na ta,wo hamesha mujhse kehte te ke beta tumne business me bahut tarakki kar liya ab apni zindagi ke andhere aur akelepan door karne ke liye koi achi aur ba akhlaaq ladki se shaadi kar lo. dekhna beta, Phir tume apni zindagi jine ka wajood bhi mil jaye ga. Aur mai hamesha unhe taal deta ta. Q k mujhe lagta ta k aisi ladkiya hoti hi nahi hogi jo mere Zindagi ki taarikiyaw ko apne seerat o akhlaq ki roshni se munawwar kar de .... aur qismat dekho ke mujhe pehli hi nazar me reeha ki kashish ne apni taraf mutwajja kiya,  aur kuch second me mai uska deewana waar ho gaya.. khubsurat hone ke saat saat chehre ki masumiyat ne uski shaksiyat ko nikhara tha... shayad uski masumiyat ne mere dil ke darwaze ko dastak di thi..... aur meri khushqismati ye he ke maine apni muhabbat ko 15 din ke andar hi haasil kiya ta.. warna bahut se logou ko saalaw tak apni ishq ke piche khuawar hote dekha he.
    Shaadi ki pehli raat jab mai apne saje hue kamre ke andar daakhil hua to mujhe laga ke wo mujhse shikayat karna shiru kar de gi ke maine shaadi me ujlat ki, zaahir si baat he har ladki ke khawab hote he. Par aisa nahi hua,  uske lehje ki narmi aur labaw ki muskurahat ne mere dil me uski izzat aur bhi badh gayi... aisa lagta hi nahi ta ke wo koi dawlatmand gharane se taalluk rakhti ho.... uski saadgi aur   andaz ne mere dil me uski muhabbat ka phool khilte chala gaya....  shaadi ke 4 din baad uski family wapas dubai chali gayi.. is dawran mujhe laga ke apne family ke chale jane se wo bahut dukhi hue hogi ,  Par aisa bilkul bhi nahi ta.. wo mutmain si thi, mai usse puchna bhi chaha magar khamush raha ye soch kar k bazaahir mujhe jo nazar aa raha ho aisa bilkul bhi na ho.....isi tarah hamare din guzarte gaye,
aisa laga ke meri dunya mukamal si ho gayi ho,  khabi mujhe apne mama papa ki yaad bhi ati to wo mujhe is tarah sanbhalti ke kuch hi pal me mere chehre par muskurahat ane lagti..
Usne mere deen ko jaise mukamal kiya hua ta. Khabi jo mai apne rab ki ibadat me kotaahi baratta ta aj uske wajood ne mujhe bi ibadat guzar bana diya... is tarah shaadi ke kuch maah baad Allah ne meri jholi me aulaad ki khushyan bhi daal di, ham donou bhi bahut khush the ,,
   Maine ye khush khabri reeha ke parents ko batane ke liye call ki to dusri taraf salaam dua  ke baad mubarak baad de kar phone kaat diya. mujhe laga ta ye khabar sunte hi wo India ane ka plan banayenge magar yaha to uska bar-aks ho gaya .. main ne reeha se kayi dafa pucha bhi ta ke family se tumhare taallukaat kaise he  par kabhi usne waazeh tor par nahi bataya.
Phir mai us baat ko bhool gaya.
                      ××Continued to be ××

                                                         __Saji___

Click here for part 5⬇

Click here for beautiful quotes image ⬇
http://www.pxlimage.blogspot.com/

Comments

Post a Comment