Kuch is tarah maza lo Zindagi me part 5





Part 5  

      Phele to sab kuch theek tha ,phir jis tarah delivery date nazdeek ate gayi use bechaini si badhne lagi . Wo har raat nindaw me darr ke utt jati,  aur dare sehme lehje me mera haat pakad ke rote hue kehti ke plzz, mere bache ki hifazat karna , use is dunya ke wehshi janwaraw se mehfooz rakhna.... aur mai use mutmain kar ke sula deta ta. Phir mai sari raat yahi sochte rehta ke akhir itni ghabraahat si q ho rahi he.  Kya pareshani ho sakti he.. kayi raat aise hi kashmakash me guzar gaye, phir ek din usne apna raaz afshaa kar diya jise sunkar har kisi ke ronghte kade ho gaye. .
             Ahmar, mai apse apni kuch talkh haqiqat bayan karna chahti hu , jise sunke apko todha ajeeb sa zarur lage.. magar ab wakt aa gaya he ke mai apko apni sachayi se aagaah karu.
     Meri family me mai aur mere do bhayi he , mere papa ek qaamyab business man zarur he, magar dil ke ache insaan khabi na ban sakes. Par meri mama aisi nahi thi ,wo ek ibadat guzar, saada dil , naram mizaj wali khaatoon thi. Papa aur unki khabi nahi banti ti. In fact wo ye rishta apni maa ke waja se nibhate aye the .meri daadi ko lagta take ke meri ammi ka saath unki Zindagi par bhi asar daale gi .  Par aisa khabi na hua.  Mujhe nahi lagta ke unhaw ne khabi jaaye-namaz ko haat bhi lagaya hoga... jab meri mama haamila thi to wo yahi kehte unse ke mujhe sirf beta chahiye,  har baar wo yahi kehte, magar tisri baar unke god me mai aa gayi . Mere is dunya me ane ke baad papa ke mizaaj me bahut tabdeeli aa gayi.  Phele se ziyada unke mizaaj me  sakhti,  ukhrapan nazar ane laga. Papa ko  apne dostou ki mehfilaw me jaane ka bahut shouq tha .  Shaadi ke baad unhaw ne mama ko bhi zabardasti apne dostaw ki mehfil me le kargaye the.. wahan ki mehfil aur logou ki gandi nigaahaw ne mama ki rooh ko chalni sa kar diya ta... phir din guzarte gaye mama ne apna dhiyaan bachaw ki tabiyat par lagaya,  aur ham jawani ki dehleez par pahunch gaye.  Mere donou bhaiyaw ko bhi papa ne apne jaisa hi banaya hua ta...Papa ne kisi dusri aurat ke saat khufya shaadi bhi kar rakhi thi. Pata nahi is shaadi ko kitna aarsa ho gaya ta, Par jab ye baat meri mama ko pata chala to wo apni dil ke dharkanaw ko qaabu nahi kar payi.
Aur shadeed heart attack ne unka dam tod diya.. mere liye ye ghadi na qabil e bardasht ti.  Q k mere sar se sirf maa ka saaya hi nahi meri muhafiz aur dil ka sukoon is dunya se rukhsat ho gayata.... unki chahat ti ke meri shaadi ek aise shaks ke saat ho jo sirf tumhe muhabbat hi nahi tumhe wo muqaam bhi de sake jo ek shareek e hayat ka hota he..... aur rab ne meri maa ki duaaye sun li hogi, jabhi to ap jaise ba akhlaq aur muhabbat karne wale insaan rab ne meri jholi me daal diya hoga....
      Yuhi din guzarte gaye, aur us khabees aurat ne jis tarah mere papa ko apne jhaal me phansaya ta wo mama ki death ke baad hamare saat hi rehne lagi thi... uske saat uska ek beta bhi ta jo mere bhaiyaw k ham-umar ta. Pata nahi uska baap kon hoga.. uske ane se mai uncomfortable feel kar rahi ti...  raat din duaaien maangti rahi,  aur apne rab se ek mehfooz chat ke liye gidgidati rahi..  q k papa ka koi bharosa nahi ta aur ghar me rehne wale afraad se hi khawf khaane lagi ti.. papa apni izzat ko kisi khawde-daan me phenkna chahte te.... magar maine apni izzat o abru ki zumedari apne khuda ke supurd kar diya ta. Shayad isliye khuda ne mere bharam aur umeed ko tutne nahi diya.
       Inhi dinaw India se papa ke cousin ka call aya aur unhaw ne bahut israr kiya ke ham sab unki shaadi me shirkat kare.. phele to papa ne mana kiya, phir unke bahut israar par papa ne haami bharli ,  aur ham sab India aa gaye .  Aur usi shaadi ki taqareeb par hamari mulaqat ho gayi ti ... tumhe pata he phele to papa is rishtey se mana kar rahe te.. phir meri step mother ne unhe behla kar kaha ke uski shaadi kar dijiye, isi bahaane ham logaw ki jaan to choot jaye gi. Papa ke liye waise bhi mai phele se hi bhoj ti, Is liye wo baad me maan gaye.. ap soch rahe honge mai ne ye sab pehle q nahi bataya, mai ek khush gawar zindagi guzarna chahti hoon. Aur mai nahi chahti mera  koi bhi maazi ham donou ki khushyaw ko tabah kare isliye mai apko batana munasib nahi samjha...
                 ××Continued to be××
     
                                                         ____Saji_____

Click here for part 6⬇



Click here for beautiful quotes images ⬇

Comments

  1. Reeha's past is so heartbreaking. Aur yeh sach ke uski khushiyon wali shaadi shuda zindagi bhi kuch hi arse tak uske naseeb thi. :/

    ReplyDelete

Post a Comment