Part 6
Phir meri khamushi ne use hairaan kar diya, aur wo mere chup ko todne ke liye mujhse sawal karne lagi.
"Ahmar, ap khamush q ho gaye, kya apko is baat ka bura laga ke maine apse ye sari haqiqataw ko chupaye rakha".
"Nahi reeha,mujhe tumhare maazi se koi taalluq to nahi he, magar mai to ye soch raha hu ke maine tumhare family ke baare me kya kuch socha ta ke tum apni family ki sab se chaheeti aur laadli hogi ,Shayad is liye tumhare papa tumhare shaadi ke liye haami nahi bhar li hogi. Par aj tumhari baate sun ke meri rooh bhi kaanp si gayi, logou ki zindagi me hazaar mushkilat aye par use sukoon apne ghar ke log hi faraaham karte he. Aur jahan ek aurat ko apne ghar ki chaar dewaari me bhi sukoon aur tahaffuz mayassar na ho wo ghar nahi ho sakta. Waqai tumhari maa bahut saabir he, aur tume pata he in sab ke sunne ke baad mere dil me tumhare saat saat tumhare maa ke liye ehtraam o izzat beshumaar badh gayi. Mujhe lagta ta ke sab se bade haadse mai hi guzra hoon, par tumhari zindagi ki talkh bhari daastan sunne ke baad mujhe apna dukh sabse chota lag raha he. Mai hamesha sochta ta ke betiyaan apne papa ka maan hoti he par jo tumhare papa ne tumhare aur tumhari mom ke saat kiya wo bahut galat tha. Mard me chaahe kitna bhi zidd aur aana q na ho use apne ghar ki izzat ko sar e aam nilaam nahi karna chahiye. Aur aise mard ko zinda hi nahi rehna chahiye jis ke badawlat ghar me bhaiti khawateen bhi tahaffuz se na reh paaye.. pata nahi q mera khoon sa khol utha he ab tak mai yakeen nahi kar paya hoon ke mard zaat aisi bhi hoti he......
Haan Ahmar , (usne mere haataw ko thaamte hue kaha ) mard zaat aisi bhi hoti he. Mard ke bahut se roop hote he jinhe samajhna itna asaan nahi hota. Aur ye baat bhi Sach he ke har insaan ka dukh yaksaa nahi hota, har kisi ko apni pareshani sab se badi maloom hoti he jab tak ke use kisi dusre ki pareshani ka andaza na ho. Mujhe laga ta ke shayad is talkh haqiqat ko mai tumse bayan bhi na kar paaun, magar din ba din meri bechaini aur be sukooni ne mujhe ajeeb se kashmakash me mubtila kiya he. Aisa lagta he jaise ye meri zindagi ka akhiri lamha ho. Mai is lamhey ko bharpoor jina chahti hoon Ahmar, saalaw baad meri Zindagi me jo khushi ayi he usse mai lutf o andoz hona chahti hoon. Apne jo mujhe sukoon o tahaffuz faraaham kiya he wo mere saalaw se sahi hue azziyataw ki yaadaw ko bhi mere dil se mita daala. Pata nahi ek khalish si he agar mai is dunya me na rahu to kya hoga...
Uske akhiri lafzaw ne meri zindagi ko jhinjod ke rakh diya. Aur mai be-saakhatan uske labaw pe haat rakha "Nahi reeha tumhe kuch bhi nahi hoga q ke mai tumhare saat hoon".
Mout kisi ka saath nahi dekhti Ahmar, use to har haal me ani hi ani he (wo mujh pe shafqat bhari nigaahe daalte hue boli).
"Beshak, use ek na ek din ani he magar mujhe tumhare saat jeena he, tumhare bagair nahi. Please tum aisi baate kar ke mere andar khadshaat paida na karo"( Mai usse request karne laga).
Theek he nahi karungi, Par apko mujhse ek waada karna hoga ke agar mai is dunya se rukhsat ho gayi to tum meri baby ka bahut khayal rakhoge , agar ap ek beti ke baap ban gaye to use hamesha apni izzat bana ke rakhenge. Use sirf muhabbat hi nahi tahaffuz bhi denge. Dekhiye Ahmar, aurat muhabbat ke bagair to ji sakti he tahaffuz o izzat ke bagair ji nahi sakti. Agar khabi apko kisi se muhabbat ho bhi gayi to use sirf apni muhabbat bana kar nahi apne bache ki maa bana kar zindagi me lana, Q k baa-az auokaat sawteli maa ke rawaiye aulaad ki zindagi par gehra asar daalti he. Mai janti hu ap aise bilkul bhi nahi ho magar khabi khabar haalaat ke saamne ham itne be-bas ho jate he ke samajh nahi ata kya sahi aur kya galat.. Mujhe umeed he tum mujhe maayus nahi karoge.. ( wo ek mutmain si nigaah mujh pe daalte hue apni baat ko khatam kiya )
Aisi baate na karo jaanaa! Mera dil kaanp jata he. Koshish karunga ke mai tumhari umeedaw pe pura utar saku, Par plz aainda aisi baate mat kiya karo. Apna khayal rakha karo. Ek kaam karte he outing pe jate he,isi bahaane kam se kam tum relax to feel karogi
(Mai utt kar apne car ki key dhoondne laga).
_______...._______
Uff, apne Zindagi me mai ne aisi sachi kahani khabi na suni hogi. Waqai Zindagi bahut kuch sikha deti he logou ko, har insaan andar se toota hua hota he. Aur wo apne upper parda daale ghumte phirta he ke kahi uski Zindagi ka dukh bahar na jhalak jaye. Mujhe to baap aur beti donou par taras aa raha ta.. us insaan ki siskiyaa kahi na kahi mujhe bhi sunai de rahi thi jo wo dil hi dil me ro raha ta. Uski ankhe aur bhi ziyada laal ho gayi. Phele to mujhe lagta ta ke ankhaw ka laal hona dair tak jaagne ki alaamat he par aj pata chala ke har laal hoti aankhe dair tak jaagne ki alaamat nahi hoti balke us insaan ke andar chupa hua dukh hota he..... maine kuch dair baap aur bachi ko dekha, aur mukhatib ho gayi .
Ahmar sahab, mujhe sun kar bahut bura feel ho raha he. Mai apni khushnaseebi samjhungi agar mai apke kaam aaun, bataaiye mai apki kya madad kar sakti hu.
(Mera jawab sun kar uske chehre pe umeed ki kiran numaya ho gaye).
Kya ap kuch maah tak is bachi ka khayal rakh sakti he.jab tak wo todhi badhi na hoti tab tak kya ap ise ek maa ke tor pe pyar de sakti he. (Wo sawaliya nazraw se meri taraf dekhne laga )
Dekhiye Ahmar sahab, maa banna aur maa ban ke paalne me bahut farak hota he. Mai jitna bhi khayal rakhu uska mai uski sagi maa to nahi ban sakti. Magar phir bhi koshish karungi ke apki bachi ki dekhbaal me koi kami na karu (mai use mutmain karte hue kaha). Aj tak mai ne yaha ek Dr ki khidmaat anjaam di he aur aj baat insaaniyat ki he. Isliye mai apni taraf se zarurkoshish karungi.
Ji, thank you very much. Samajh nahi ata ke mai apka shukriya ada kaise karu..
Uski koi baat nahi. Par apse mera ek hi sawal he ap ne mera intikhab kaise kiya? Ap kisi se bhi help le sakte te. (Mai uske jawab ka intizar karne lagi)
Mai kisi anjaan shaks pe bharosa kar ke apni bachi ki zumedari sonpna nahi chahta. Mai use ek mehfooz haataw me sonpna chahta hoon. Aur is baat pe koi shak nahi he ke ap ek ba akhlaaq ladki hone ke saat saat caring shaksiyat ki maalik bhi he.
××Continued to be××
__Saji _
__Saji _
Click here for part 7⬇
_
Nice story
ReplyDeletepart 7?