Kuch is tarah maza lo Zindagi me part 7

Part 7

Ap ne kis tarah se ye andaza lagaya ke mai ba kirdaar aur caring nature ki maalik hoon? (Mai hairat se use puchne lagi ).
       Isme andaze wali kya baat he, apko yaad hoga ke maine reeha ki masumiyat ko bhi uske chehre se hi pata lagaya ta. Aur apke chehre par bhi wahi masumiyat he, aur sache logou ki yahi khaasiyat hoti he. 
       Ji thank you for the compliment... ( Mai apne labaw pe halki si muskurahat sajate hue uske haat se us bachi ko uthaya, aur uske maasum se chehre ko dekhne lagi. Wo apni maa ki hubahu thi. Phir mai usse ijazat le kar apne ghar ki taraf rawana ho gayi. 4_5 maah beet gaye, mujhe bhi us bachi se kaafi lagaaw ho gaya ta.

 Ahmar sahab roz hospital me hi apni beti ko dekhne ke liye ate te. Ghar ana unka munasib nahi ta is liye mai unhe hospital me hi unki mulaqat karwati ti. Aleena 6 7 maah ki ho gayi ti, in 6 7 mahinaw me meri Ahmar ke saat kaafi achi dosti ho gayi. Khabi khabar mai unke saat ja kar Aleena ki saari shopping kar ke aa jati.... us dawran ham bahut sari gapshap karte, khabi wo mujhse apne dostou ke baare me batate to khabi mai apni family ke saat ki gayi mastiyaan unhe batane lagti. Is tarah din guzarte gaye. Maine apne family me sari situation pehle hi bata diya ta. Pehle to mamma pappa is baat par raazi nahi te ke mai kisi ki aulaad ki parwarish karu..phir baad me unhaw ne maan liya.
       Aleena 1 saal ki ho gayi ti.. aur mai ne papa se jo wakt manga ta wo pura ho chuka ta. Papa se baat kar ke unhe ye itminaan diya ke mai 2 3 baad ghar aa jaungi. Par pata nahi dil mera bechain sa ta. Pata nahi Aleena mere bagair kaise reh paaye gi. Wo mujhe mamma keh kar pukarti ti. Aur uske ye alfaaz sun ke mera dil khushi se sarshaar ho jata. Akhiri martaba maine use bepanah pyar kiya aur Aleena ko ahmar sahab ke hawale kiya.
         "Apki amanat apko wapas kar rahi hu. Dil to nahi chahta ise khud se alag karu magar kuch chizen hamare ikhtiyar me nahi hoti ,  aur papa se maine wada bhi kiya he.. Ahmar sahab agar mujhse khabi  koi kotaahi ho gayi ho to mujhe maaf kar dijiye ga".
   Pata nahi q mai unke chehre ki taraf apni nazre utha kar nahi dekh payi.
      Namra ji, apse koi kotaahi kaise ho sakti he. Jab ke apne to mushkil wakt me mera sahara bani. Mai apka shukur o guzar hoon.. aur mujhe ye bhi pata he ke Aleena ko tumhari adat si ho gayi he. Pata nahi ye apke bina kaise reh paaye gi. Ap ruk jaiye na..
  Uski awaz me ek tadap si ti jaise wo kuch aur kehna chah raha ho.Todhi dair tak mai sochaw me gum rahi. Phir khud ko normal kiya aur Taxi ki or badh gayi. Mere palat jane ke baad Aleena zor se rone lagi magar maine piche mood kar use nahi dekha. Q k agar piche mood kar use dekh leti to phir ja bhi nahi pati. Sare safar me mera dhiyaan Aleena ki khayalaw me hi ta.

 Taqreeban 10, 12 ghante ki musaafat ke baad ghaadi apni manzil par pahunchi ti. Itne saal baad apnaw se milne ki khushi se ziyada Aleena se judayi ka gham ziyada ta.. mere ane ka sunte hi meri saari behne maaike ayi hue thi. Aur donou bhaai aur bhabiya bhi moujud thi.  Hairat is baat par hue ke sab ke sab mere ane se pehle hi jama te.... pehle to mujhe laga ke sab logou ne mil kar plan kiya ta mujhe surprise dene ka magar 2,3 baad pata chala ke baat kuch aur he...... mamma aur papa ne mera rishta umaira ke dewar ke saat mansoob kar diya ta. Is baat ki khabar mujhe umaira api ne khud diya ta. Is khabar ko sunte hi mere pairaw ke niche se zameen khisak gayi, mai ne usse bahana bana kar washroom me chali gayi.. aur pata nahi kitni dair tak mai waha roti rahi. Phir kuch lamhey baad apne ap ko relax kiya aur sochne lagi ke mai ro q rahi hu.. ek na ek din to papa meri shaadi karne wale the hi phir mai is baat par aetiraaf q nahi kar pa rahi hu. Kya sirf Aleena ki waja se ya phir Ahmar se mere dil ka taalluk ziyada ho gaya.. phir ye khayal mai ne apne dil se jhatak diya.
( washroom se bahar ayi to mera phone baj raha ta ,  Dusri taraf Ahmar ki call ti.mai ne receive kiya . Dusri taraf na salaam ti na dua bas narazgi thi...)

           Kahan ho ap ? Bhool gayi mujhe aur Aleena ko, yahan se jane ke baad ek baar bhi call kar ke apne Aleena ke baare me nahi pucha. At least msg to kar sakti ti.
            "I am sorry," (maine bhuje se lehje me bas itna hi keh saki )
       Kya hua namra apko, apki awaz jaise bhaari bhaari si lag rahi he. Apki tabiyat to thik he na? (Pata nahi wo meri awaz ko kaise pehchan leta he)
           "Ji, mai theek hu. Bas mosam ka badlaaw he. Isliye apko meri awaz bhaari si lag rahi he".( maine ba mushkil usse jhoot kaha )
         Acha, apko bata dena chahiye tha, khuamakhaa mai ap par gussa hone laga.
       Aleena kaisi he ?( maine uski baat kaatte hue pucha )
         Apke bagair kaise ho sakti he?   ..... mushkil se do niwaale pet me jata he, roz apko mamma mamma keh kar pukaarte rehti he.. Sach pucho to mujhse ab dekha bhi nahi ja raha. (Wo sanjeedgi se batane lage phir mai ne unse sawal karne lagi )
        "Aur aap kaise he ?"
  (Dusri taraf khamushi thi. Koi jawab na pate hue maine dubara sawal kiya )
    Apne bataya nahi ke ap kaise he ?
      Apko kya lagta he mai kaisa ho sakta hu
(Wo mujhse hi sawal karne laga. Magar mere paas uske sawal ka koi jawab nahi ta. Maine banana bana kar phone kaat diya aur dair tak mai uske sawal ke mukhtalif jawab khojti rahi. Phir afeera ki awaz par mai chonk si gayi.
       "Namra, tumhe papa apne kamre me bulaya he".
      Theek mai ati hu, tum chali jao.(wo mere jawab ko sunte hi wahan se chali gayi. Taqreeban 10 min baad mai papa ke kamre me chali gayi.)
  Papa apne bulaya ta? (Unhaw ne mujhe dekha aur sar hila kar apne paas wali kursi par baithne ka ishaara kiya).
       Unhaw ne shafakat se mere sar pe haat phera aur kehne lage,
     "Dekho beta meri baat gour se sunna, ho sakta he mere faisale par tumhe hairaani ho gayi ho magar beta waaliden hamesha apni aulaad ki khushyan hi chahti he. Waise to saari aulaad mere liye yaksaa he magar tum sab se choti hone ke waja se ziyada aziz ho. Maine tumhari har khawaish ko pura karni ki koshish ki. Aur alhamdulila tumne kaamyabi bhi bahut haasil ki. Magar beta ek farz bhi mera baaki he, Zindagi ka koi bharosa nahi hota aur mujh me pehle jaisi quwwat o mazbooti na rahi beta . Mai chahta hu jald az jald is farz se subukdosh ho jaun. Umaira ki saas ne ye rishta 1 saal pehle hi tumhare liye manga ta. Is silsile me mai ne tumse baat karne ki bahut koshish bhi ki. Lekin tumhari masrufiyat bhi itni ti ke tumse baat karne ko ziyada wakt bhi nahi milta tha. Phir tumne apne ek patient ke bache ki parwarish ki zumedari le li ... pehle to is baat se mai sehmat nahi ta.  Phir socha  umaira ke dewar ko ane me saal to lag hi jaye ga. Aur us samey tum us bin maa ki bachi ko paal kar insaniyat ki misaal ko qaayim karo .... phir maine khabi is baare me baat nahi kiya. Q k mai chahta ta ek baar tum khair o afiyat ke saat ghar aa jao phir mai tumhe asani ke saat samjha dunga.
    Dekho beta Ubaid bahut acha ladka he. Ba akhlaaq, aur tameez daar bhi he. Aur tum apni behan ki sasuraliyaw se wakif bhi ho. Phade likhe hone ke saat saat deeni maahol se bhi waakif he. Aur sab se achi baat mujhe ye lagi ke ubaid khud tumhe bahut pasand karta he . Aur ek ladki ke liye is se badi baat kya ho sakti he.... beta , kya maine tumhare liye jo kiya wo galat kiya...?  (Wo mujhse nam ankhaw ke saat sawal karne lage )....
                   
                       ××Continued to be ××
 
                                                          ____Saji ____

Click here for part 8⬇



Comments