Tere sang chale (novel) part 4

 Part 4



Tani,,, Taniya,,, ( Taniya ka mood sakht off tha.. gusse me wo car ki taraf ja rahi thi.  Piche se anwar use awaze de raha tha.  Wo ek lamhe ko ruki aur piche ki taraf mudi.. )

Anwar,, dekho is wakt mera mood tumse baat karne ka nahi he.  Isliye behatar he ke tum yahan se chale jao.

( wo phir se tez qadam bhadane lagi.  Anwar bhi uske piche piche aa raha tha.)

Tani.... iswakt tum gusse me ho... akele drive karna munaasib nahi he.  Mai bhi tumhare saat chalta hu.

(Be dhiyani me Anwar ka pair gobar me phans gaya.  )

Ooo   shitttt 

(Uski be saakhta awaz par tani ne piche mood kar dekha.  Aur zor zor se hansne lagi. )

Uff kya musibat he.. tume rokne ke chakkar me mai bilawaja ki musibat me giraftar ho gaya.

(Wo paaw se jhatak kar nikalne ki koshish kar raha tha. Uski is halat par tani ki hansi me mazeed izafa hote ja raha tha...)

Is liye to mai tume keh rahi thi.. mere piche mat chale aao.. galati sarasar tumhari he.. ab tum ise saaf karte rehna.  Mai to chali.. 

( wo jane ke liye palti to Anwar ne use rok liya. )

Dekho, tum mujhe is tarah musibat me akele chod kar nahi ja sakti.. ise nikaalne me meri madad karo. 

" mai q tumhari madad karu.  Ye tumhara masla he.  Ab jis bhains ne bhi apne jism se is pyari chiz ko khaarij kiya he usi ko keh de.  Ho sakta he koi help ho jaye. "

(Wo phir se hansne lagi.  Uski mazahiya baataw se anwar ko gussa aa raha tha )

  Acha itni hi pyari chiz lag rahi he tume to apne chehare par bhi lagalo... is mask se chehre par shine aur glow aa jaye ga.... for permanently .. 

(Wo bhi piche hatne walou me se nahi tha.. uski baataw se Taniya ki hansi ko break lag gayi..)

 Kya matlab he tumhara...

Wahi jo tum samjhne ki koshish kar rahi ho. Magar samajhna nahi chahti..( Anwar bhi use tang kiye ja raha tha.)

Tum yahi raho... mai ja rahi hu...... akele...

(Wo car ki seat par bhaitne lagi to anwar phir se help ki awaze dene laga. Idhar udhar nazre dawraayi.  Car ke pichle seat par pani ki bottle dikhayi di.  Usne bottle uthayi aur anwar ko de ayi.. Anwar jaldi jaldi saaf kiya aur car ke front seat par uske side wale seat par bhait gaya..)



Acha batao tani kya hua he... is tarah gusse me kahan ja rahi thi..?

(Taani ko khamush dekh kar bilakhir wo puch liya. )

Pata nahi... bas jab khabhi mera naam mere baap ke saat joda jata he to kofat si hoti he.  Nafrat si hone lagti he khud se... jis insaan ki badaulat meri maa mujhse chin gayi us insaan ka naam bhi sunna mujhe gawara nahi he..

(Usne apni car ki raftar tez kar di. )

Ahista chalao tani... .. tum nafrat ki aag me khud ko jala rahi ho... aisa karne se tume kuch bhi haasil nahi hoga..

(Wo use samjhane ki koshish kar raha tha. )

To phir aisa kya karu jo mere dil ko Taskeen aa jaye.. mera dil mutmain ho jaye...

"Bhul jao sab kuch.. yaade har zakham ko taza kar deti he.  Isliye un yaadaw ko yaad karne ke bajaye use apne zehan se bahar phenk do. Tum sirf taaniya Sarfaraz ki beti nahi ho tum Taniya Mahmood bhi kehlati ho.  Aur inka rishta sab se upar he. Samjhi buddhu "

(Wo muskura kar halke se sar par chapat lagayi to. Wo sarsari andaz me ghurne lagi. )

Bhuddu kise keh rahe ho.. mashaallah se BBA kar rahi hu.  Aur papa ka business sanbhaal rahi hu...(wo apne khala aur khalu ko khabi khabar mama papa hi kehti thi. )

"Faida kya hua itni taaleem ka... aqal to wahi ghaas charne ke liye chali jati he tumhari.. todha gussa aa gaya nikal padi khud ko nafrat ki aag me jalane ke liye... agar itni hi ba_shaoor hoti to todha apni harkataw par tawajja deti.  Badi ayi BBA karne wali.."

 Acha to tumhara masla kya he..(wo chidchide andaz me puchi)

Masla mujhe tumhare gusse se he.  Jo bilawaja har do ghante me tapak padta he.. (uske jawab me wo muskurane lagi. )

Acha to ye masla he.. fikar mat karo.. jald hi iska hal nikaal lungi..

Chalo achi baat he...  raaste me koi dhaaba ya resturant nazar aa jaye to mujhe utaar do... bhook se meri jaan ja rahi he...

(Wo sheesha khol kar bahar ki taraf apni nazre dawrane laga.)

Q... akele jane ka irada he.. banda jhute muu puch hi leta he..

  "Itne wakt me jo tum andar hi andar gusse se jal bhun rahi thi.  Zahir si baat he pait to tumhara bhara hi hoga.. isliye puchna zaruri nahi samjha. "

(Kuch minute baad  gaadi ek resturant ke paas ruk gayi...)

     ______●●●_____

Tani beta.. chalo lunch ke liye aa jao.... aj bahut dair se ayi ho....

(Taniya ko upar jate dekh kar nazneen use awaz dene lagi.)

 Nahi khala.... maine lunch kar liya....anwar ko bhook lagi thi to uske saath maine bhi kha liya. 

Mujhe tum bachaw ki samajh nahi ati..use le kar ghar hi aa jati... aur yahi par sab mil kar lunch kar lete... dekho.. khaalu bhi tumhara intizaar karte karte chale gaye..

(Nazo jhuti narazgi dhikayi to tani paas kar unke khande par haat rakh kar maska lagane lagi.)

Acha na meri pyari mama....... aainda bahar lunch nahi karungi.. anwar ko bhi kaan pakadakar sidha ghar laungi...

(Wo muskurane lagi..)

Aainda ke liye kehti ho.. phir bhul jati ho.. tum change kar lo.. mai nazira apa se keh kar chaaye banwa deti hu tumhare liye..

     "Chaaye rehne de.. iswakt mujhe shadeed nind aa rahi he..  todha araam kar lu. Phir chaaye bhijwa dena. "

   "Acha to namaz kar ke araam kar lena.. dekho qaza ho jaye gi.."

 " G khala"

(Room me chali gayi.... bag ko khande se nikaal kar table par rakh liya.  Kapde tabdeel kar ke namaz ada ki... phir wo todhi dair araam ke liye leti...)

          _______ continued to be _______


                                                   🌷🌷saji🌷🌷


Click here for part 5👇👇

https://lafzawkimithaas.blogspot.com/2021/02/tere-sang-chale-part-5novel.html


 

Comments

  1. Toooo good dea 🥰🥰
    You are extremely amazing 💝💝 A bright poet to be soon in shaa Allah 😊👍. Masha Allah 💝

    ReplyDelete

Post a Comment